Saturday, October 10, 2009

Kyun Pareshan Hai Tu

Song: Kyun Pareshan Hai Tu
Album: Aazadi
Band: Junoon

*** Lyrics ***

Kyun pareshan hai tu
Kai jahan aur bhi hai
Kitne haseen aur bhi hai
Aur bhi hai
Kyun pareshan hai tu

Tere ishq mein shor machaye
Shor machaye
Kahin charkha ghoomta jaaye
Paas bulaye
Paas bulaye paas bulaye
Kyun pareshan hai tu
Kai jahan aur bhi hai
Kitne haseen aur bhi hai
Aur bhi hai
Kyun pareshan hai tu

Koi tujh bin aasun bahaye
Aasu bahaye
Kisi karvat so nahin paaye
Paas bulaye
Paas bulaye paas bulaye
Kyun pareshan hai tu

Tu hi apna log paraye
Koi kabse aas lagaye
Paas bulaye
Paas bulaye paas bulaye
Kyun pareshan hai tu

*** Video ***

Kisne Suna

Song: Kisne Suna
Album: Aazadi
Band: Junoon

*** Lyrics ***

Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna
Koi yahan apni zubaan samjhe kaha
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna

Ghulami mein khush hai abhi dusro ki
Ke rehte hai jannat mein woh ehmaaqo ki
Ghulami mein khush hai abhi dusro ki
Ke rehte hai jannat mein woh ehmaaqo ki
Na hi rasta koi unka na hi manzil
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna

Koi gum kahin hai koi gum kahin
Koi soch bhi unki apni nahi
Na hi mustaqbil koi unka na hi maazi
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna
Koi yahan apni zubaan samjhe kaha
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna

Ghulami mein khush hai abhi dusro ki
Ke rehte hai jannat mein woh ehmaaqo ki
Na hi rasta koi unka na hi manzil
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna
Koi yahan apni zubaan samjhe kaha
Kaha jo unhone woh sab ne suna
Jo hum ne kaha wo woh kisne suna


*** Video ***

Dil Nahin Lag Raha

Song: Dil Nahin Lag Raha
Album: Aazadi
Band: Junoon

*** Lyrics ***

Hadh se badne laga zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha
Usne ehwaal poocha to maine kahan
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha

Shehar mein to mere jitne bhi yaar hai
Sab giraftar hai sab giraftar hai
Kisko maalom ho kaun ho kab riha
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha

Main bhi paaband hu woh bhi paaband hai
Raaste band hai raaste band hai
Ab to mumnkin hai ko raabta
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha

Hadh se badne laga zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha

Hadh se badne laga zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha
Usne ehwaal poocha to maine kahan
Dil nahin lag raha, dil nahin lag raha

Thursday, July 30, 2009

Dosti

Song: Dosti
Singer: Junoon

Yaaron ye hi dosti hai
Kismat se jo mili hai
Sab sang chale
Sab rang chale
Chalte rahe hum sada
Yaaron ye hi dosti hai
Kismat se jo mili hai
Sab sang chale
Sab rang chale
Chalte rahe hum sada

Chalte rahe hum tum
Yun hi badtey rahe hum tum
Khushiyon ke sang hum tum sada
Chalte rahe hum tum
Yun hi badtey rahe hum tum
Khushiyon ke sang hum tum sada
Yaaron ye hi dosti hai
Kismat se jo mili hai
Sab sang chale
Sab rang chale
Chalte rahe hum sada

Tootey na kabhi saath yeh
Chhotey na kabhi haath yeh
Apni to hai yehi dua
Tootey na kabhi saath yeh
Chhotey na kabhi haath yeh
Apni to bas yehi dua
Yaaron ye hi dosti hai
Kismat se jo mili hai
Sab sang chale
Sab rang chale
Chalte rahe hum sada

Yaaron yeh hi dosti hai
Kismat se jo mili hai


Wednesday, July 29, 2009

Taara Jala

Song: Taara Jala
Album: Deewar
Singer: Junoon


Tere waastey main

In lamhon ke peeche
Koi to hai lamha aisa bhi
Jo begana bhi hai apna bhi
Jahan thehray yeh lamha
Wahin se to aage jaana hai
Jise socha hai usko paana hai
Jaaon main jaatey pal se aage jaaon
Jaaon main aagay jaa ja keh uss ko paoon
Jaaon paaoon aage jaaon mein
Taara taara jala
Jala kehkashan ki tarah
Tere waastay mein
Taara taara jala
Jala kehakshan ki tarah

Jahan manzil hai meri
Kabhi to woh duniya dekhunga
Mujhey kaise hai jeena dekhunga
Kabhi dekhunga ja ke
Chudda ke main peecha kammon se
Kabhi niklunga subho shaamon se
Jaaon mein jaatey pal se aage jaaon
Jaaon mein aagay je ke uss ko paoon jaaon
Aage hi jaaon main
Taara taara jala
Jala kehkashan ki tarah
Tere waastey main taara taara jala
Jala kehkashan ki tarah

Tere saath hum nahi
Gham ki tarah yeh gham nahi
Teri mohabbat kam nahi
Taara taara jala
Jala kehkashan ki tarah
Tere waastey main
Taara taara jala
Jala kehkashan ki tarah

In lamhon ke peeche
Koi to hai lamha aisa bhi
Jo begana bhi hai apna bhi


Ghoom Taana

Song: Ghoom Taana
Album: Deewar
Singer: Junoon


Tanha aise kyun, bechain phire
Jaagenge zarur ye bhaag tere
Koi jaane na ye josh tera
Koi jaane na junoon tera
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na

Dil se dilo ko jeetna
Mushkil se na darna
Rang barsega yahan
Din ho ya fir raina

Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na

Badi durr hai gar jaana
Mayus na kabhi hona
Andhere mein bhi virane mein bhi
Khilegi koi kali

Tanha aise kyun, bechain phire
Jaagenge zarur ye bhaag tere
Koi jaane na ye josh tera
Koi jaane na junoon tera
Ghoom taana
Ghoom taana
Ghoom taana
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na
Ghoom taana taana na na


Khudi

Song: Khudi
Album: Aazadi
Singer: Junnon

Khudi ko kar buland itna
Ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche
Bata teri raza kya hai

Khudi ko kar buland itna
Ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche
Bata teri raza kya hai
Teri raza kya hai

Sitaaron se aage jahan aur bhi hai
Abhi Ishq ki imtihaan aur bhi hai
Sitaaron se aage jahan aur bhi hai
Abhi Ishq ki imtihaan aur bhi hai
Aur bhi hai

Khudi ko kar buland itna
Ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche
Bata teri raza kya hai

Tu shaheen hai, parwaaz hai
Kaam tera kaam tera
Tere saamne aasman aur bhi hai
Tu shaheen hai
Basera Kar pahado ki chattanon par
Tu shaheen hai, tu shaheen hai, tu shaheen hai

Khudi ko kar buland itna
Ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche
Bata teri raza kya hai

Khudi ko kar buland itna
Ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche
Bata teri raza kya hai
Teri raza kya hai
Bata teri raza kya hai
Bata teri raza kya hai

Saturday, May 30, 2009

Zamane ke andaaz badle gaye

Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye
Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye
Khirad ko ghulami se aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar

Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye

Jigar se wohi teer phir par kar
Tamanna ko seenon main bedar kar

Jigar se wohi teer phir par kar
Tamanna ko seenon main bedar kar
Jawanon ko soze jigar bakhsh de
Mera ishq meri nazar baksh de

Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye
Khirad ko ghulami se aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar
Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye

Pila de mujhe woh may pardah soz
Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz

Pila de mujhe woh may pardah soz
Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz
Woh main jis se roshan hai zameer-i-hayaat
Woh main jis se hai mastee-e-kainaat , mastee-e-kainaat

Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye
Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye
Khirad ko ghulami se aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar

Zamane ke andaaz badle gaye
Naye raag hai saaz badle gaye